ess saal ki aakhri dhalti shaam key saath
teri yaddon key sooraj ko bhi alwida ker doon ga

ab key baad rat-jagoon ka yeh safar
chaand ko tanha hi taye kerna ho ga.

mein terey jhootey sachey lafzoon sey banney
kachey pakkey rishtun ki kamzoor doori ko
key jissey joortey joortey khud toot gya hoon

ussey khud hi toor daloon ga
key bohat jheel lia dard
teri majboorion key hijaboon ka
kissi kitab mein rakh key
bhooley hovey murjhaye gulaboon ka

yaqeee’N aur bey yaqeeni ki
aankh machooli sey bantey
taptey hovey siraboon ka

teri wapsi ki rah takti
pathrayee hoi aankhoon ki palkoon per
bikhrey hovey chand khawaboon ka
na khatam hooney waley azaaboon ka

ab ki baar khushion ki pehli kirn
merey dil mein phootey gi
aur naye saal ki pehli sehar
merey ander key sab aansoo nikaal ker
dharti ki goud shabnam sey bher dey gi

Touseef – Dec 16th, 2003, 03:20 PM

This is pretty old poem by me shared/appreciated on Gup Shup board. Just felt like sharing it on the new year on my blog too.

Pin It on Pinterest

Share This